Instagram Account Ko Hack Hone Se Kaise Bachaye ?

November 10, 2018 0 Comments


Hello Dosto, Aaj ke is post mein main aapko batane wala ho ki kis trahse aap apne Instagram account ko hack hone se kaise bacha sakte hain ? to is post ko poora padh liye ye post aapke liye bahut hi zyada helpful hoga kyoki is post ko padhne ke baad aap apne instagram,facebook,twitter aur lagbhag sabhi social media sites jo bhi aap use karte hoon unke secure rakh sakte hoon ,
aaj kal log facebok se bhi zyada instagram ka use kr rahe hai isliye sabhi ko apna instagram account save karke rakhna chahiye .

instagram account hack




Instagram Account Hack Hone Se Kaise Bachaye ?

main yaha par keval instagram account ke baare mein nhi baat kr rha ho apne sabhi social media site mein ye ko apply kro aap chahye wo aapka Gmail,facebook,twitter kuch bhi kyo na ho koi bhi use aasani se hack nhi kar sakta hain , 
neeche maine aapko kuch traike bataye jinki madad se aap social account ko secure rakh sakte hoon .


#1 Two Step Verification 

Tow step verification ye aapko har jagah mil jaayega aapke kisi bhi social media site me yeh aapko account ko dugna secure rakhta hai matlab ki agar aapko Instagram ka password agar kisi ko bhi pta chal jata hai , agar wo login karega to sabse pehle aapke mobile no. par ek OTP jaayega jab tak aap OTP nhi daloge tab tak aap Instagram account ko use nhi kar sakte ho , 
To aap Two Step Verification ko kis trah se  enable karoge .


step 1 : - Aapko sabse pehle apne instagram account ko open karna hai aap apni profile picture par click karke id ko open karna hoga aur 

Step 2 : - ab aapko settings wale button par click karna hoga aur to jab aap setting wale button par click karenge to ek popup aayega usme aapko privacy and security wale option par click kar dena hoga ,

Step 3 : - ab aapko neeche dekhne par ek Two - Factor Authentication par click kar dena hoga .

Step 4 : - last step me keval aap ko keval  Two step verification ko enable kar dena hoga aur aapko apna mobile no. daal dena hoga aapke mobile par ek OTP aayega us OTP PASSWORD ko aap us box me daal dijiye aur aur done par click kar dijiye .
aisa karne ke baad jab koi bhi aapke instagram ko open karna chahega wo ise open nhi kar paayega jab tak ki OTP PASSWORD  nhi pta hoo 

#2 Do Not Use same password 

Bahut sare log apne sabhi accouint ke password ek jaise hi rakte jo ki wo ek bahut badi galti hoti hai aap ko kabhi bhi apne kisi bhi social media account ka password ek jaisa nhi rakhna chahiye ,kyoki agar aapka kisi bhi ek account ka password ka aapke kisi bhi friend ko pta chal jayega to wo aapke sabhi account ko access kar sakta hai to aise me aapko dhayan rakhna hai hai aap apne sabhi account ka password alag alag hi rkhe to zyada better hoga .


#3 Do not use autosave password 

password ko save rakne se bhi aapka account hack ho sakta hain to aise jab bhi koi bhi social site ka aap use kren to login karte samay aap AUTOSAVE PASSWORD ka use na kyoki maan lijiye aap se aapka phone kisi bhi friend ne manga to wo us waqht kuch kar sakta hain to jab aap apne account ko use karne ke baad logout jarur kren .

#4 Use Extra Strong password 

adhiktar log password ke naam aapne apna naam,date of birth,bank account number,mobile number,etc. kuch bhi rakh lete mgr sayad aap nhi jante ki yeh sabh kuch hack kiya ja sakta hain 
to aise mein aapko ek strong passwrord use krna hoga jo ki kam se kam 12 character ka ho jisme {capital letter kam se kam ek ho aur baaki small kuch number aur special character } bhi ho kuch aise EX- Password645@ 


#5 Do not click Unwanted  links 

aapke facebook whatsapp par bahut se message aate hone is link par click karo aapko 10 rupay milenge to aap aise message se bachke rahe aapke account hack kiya ja skata kyoki jab aapko us link par click karoge to wo aapse login hone ke liye kahega jab aap login karne ke liye aapne login id aur password daloge to wo fishing hacking ke jariye aapka account ka login id aur password unke pass save ho jaayega aur aasani se aapke account ko access kar sakta hain. 

aaj ke post me post mein bas itna hi post pasand aaya ho to ise apne dosto se share jarur kren 

Lalit Verma

Some say he’s half man half fish, others say he’s more of a seventy/thirty split. Either way he’s a fishy bastard.

0 Comments: