Best Android App Of 2018 | Top 10 Android App You Must Download


Swagat hain dosto aap sabhi ka hamare aaj ke is post mein aaj ke iss post mein aaj aapko batnae wala ho ki saal 2018 ke sabse zyada download kiye gye application ke baare to aap hamare is post ko suru se lekar last tak padh lijiye, Aaj ka post un logo ko ke liye bahut hi zayada important hain jo ki google par search krte honge best android app 2018 to un sabhi ke aaj ka post likh rha hoon.



BEST ANDROID APP 20018




 Top 10 Android App You Must Download

Aaj ke post mein appko poore Top 10 aap ke baare mein bataunga jise aapne agar download kiya hain to thik hai warna download jarur kr lena kyoki yeh sabhi applications sall 2018 mein sabse zyada download ki gyi application hain,

TIK TOK

To Tik Tok hi saal  2018 mein sabse zyada download kri jaane wali Application ki list mein NO.1 par iss application ko download krne ke baad apne man-pasand videos ko dekh sakte hon aur agar aapka man karta hain to aap aapna ek account create krke aapni khud ki videos bna kr ke tik tok par bhi upload kr sakte hain aur aapni videos ko dusre logo tak paucha ke apni fan following badha sakte hoon, agar apapko yeh application accha lga ho to download jarur krna.



WHATSAPP

Aur ab 2nd no. par aati hain yeh application jo ki aap sabhi ke phone mein jarur install hogi, ye ek social communication app hai jo ki bilkul free hain appko download krne ke koi bhi charge nhi dena hoga aur iss app ke madad se app aapne se door baithe kisi  se bhi chat kr skate hain ho bas us bande ka mobile no. aapke phone mein save hona chahiye yeh ek aisi application hain jo ki sabse zyada phone mein use kiya jaane wala application hain is app sabhi phone ka lock on karte ke saath jaurur ek baar apna whatsapp dekhte hain.

GOOGLE PAY   (TEZ)

GOOGLE PAY se pehle is app ka naam TEZ tha pta nhi aisa kya hua google ko jo ki usne apne is application ka naam tez se badalkar GOOGLE PAY kr liya hain, is app se aap apni koi bhi transactions kr sakte hoon aapko apne kisi dost ko paise transfer krne hain electricity bill,mobile prepaid recharge,aur bhi bahut tarike se aap transactions kr sakte hain yeh app keval cashback ke chakkar mien viral hui hain.


SHARE CHAT

Jaisa ki aap sabhi jante hain isi saal aaye whatsapp mein ek Update jiska naam hain STATUS ye feature logo ne bahut pasand kiya hain aur zyadatar log apni whatsapp status ko daily new status dalte hain to iss application mein aapko bhaut saare whatsapp status videos mil jaayegnge to aapko agar yeh application pasand aaya hain to download jarur krna.

MX PLAYER

Jab se Android mobile aaye hain tab se lekar aaj tak abhi tak koi bhi aisa video player nhi aaya hain jo ki Mx player ko peeche kr de to hamesha ki trah iss year bhi mx player ko bahut hi zyada download kiya gya hain to isliye yeh application bhi hamare is TOP 10 APP ki list mein hain.



PAYTM


PAYTM jab se demonetization hua tha jab se logo ne PAYTM app ka bhaut use kiya hain agar aapne abhi tak paytm ka use nhi kiya hain aap bhi paytm ka use jarur kren aur , aaj kal sabhi is app ka use kr rhe mgr dhyan rhe Internet par bahut saari  aisi applications mil jaayengi jisme jo fake payment wali app aa chuki hain jo ki aapko jab screen shot send kr denge aapko ki payment bhej di gyi hain hain to aap sabhi bachke rehna aisi sabhi application se.

INSTAGRAM

Aapne Facebook aur whatsapp use jarur kiya aur instagram iss saal isliye bahut famous isliye ho gya hain kyoki facebook aur whatsapp par koi bhi bollywood actor,aur youtuber aur aise bhaut sare log aapko facebook par bahut kam milenge mgr aapko instagram par lagbhag sabhi mil jaate hain stories dekh sakte hain aur messgaes mein batein bhi kr sakte hain.

WHERE IS MY TRAIN 


Agar aap train mein daily safar krte hain ye to yeh aap aapke liye bahut hi zabardast hain aapko yeh aap apne mobile mein jarur rakhi chahiye is aapki help se aap yeh pta lga sakkte hain ki konsi train abhi kha par hai aapke station se kitne door hain aur to usi ke hisab se aap apne ghar se nikal sakte hain .




VIGO VIDEO


is saal vigo video bhi bahut zydaa trend hua tha to agar aapko funny videos bahut hi acchi lagti hain to aapko to aap is application mein 30 ya 45 second ki videos ko dekh sakte hain.


TO aaj ke is post mein maine aapko bataya hain TOP 10 applications ke baaren mein agat aapko pasnd aaya hoo to post koo like jaur kren aur apne dosto ko share jarur kren.

Jio music band hoo rha hai ? kya hai Jio saavn ?


Bahut hi dino se jio ke free callertune service hum sabhi use krte aaye aaj koi extra charge nhi lga hai mgr ab aise kya jua jio ko ki unhone aap application jis naam hai jio music sabhi ke mann mein ye swaal jarur aa rha hoga ki Jio music band kyu ho rha hai agr aap bhi nhi jaante ki aisa kyu hoo rha hai post ko poora jarur padhe accha lage to share jarur kren apne dosto ke facebook,whatsapp.etc par.

Jio music band hoo rha hai ? kya hai Jio saavan ?

Jio music band ho rha hai Kyu ?



Jio ne jab apna application JIO MUSIC launch kiya tab ye aate hi HIT ho gya JIO MUSIC ke ab 100 million se bhi zyada downloads hain, tab bhi band kyu ho rha JIO music,


Aisa isliye ho rha hai kyuki abhi kuch dino pehle do bahut badi company JIO aur SAAVN  dono mikar collab kiya hai to JIO MUSIC app jo hai wo band nhi bas uska naam JIO MUSIC se change karke aapko JIOSAAVN milega ,

Agar aap nhi jaante ki saavn bhi ek aisi hi aaplication hai jo ki aap music sunati hai matlab ki jis tah se aapne GAANA,HUNGAMA aur bhi bahut saare online music aur radio sunane wale application ke naam sune honge usi trah se hi hai yeh saavan agar aap soch rhe hai SAAVN bhi band ho jayegi mgr abhi tak aisa nhi hua hai GOOGLE PLAY STORE par Saavn app uplabdh hai aap ab bhi download kr sakte hai,

JIOSAAVN KYA HAI ?

kya hai JIOSAAVN jaisa ki aapne abhi upar padh hi liya hoga ki JIO aur SAAVN dono ne collab kiya hain isliye JIO MUSIC ka naam change krke JIOSAAVN rakh diya gya hain isliye ab se agar aapne JIO MUSIC aap ko update  nhi kiya hain UPDATE KR LIJIYE aur aapne download nhi kiya ho to ab aap jab bhi downlaod krenge to aapko JIO MUSIC ke naam ke jagah JIOSAAVN mil jaayega ,



JIO MUSIC MEIN KYA-KYA CHANGES KIYE GYE HAIN  ?

JIO aur SAAVN ke collab ke baad keval iske naam mein hi changes kiye gye hain , aur bhi bahut saare changes kiye gye hain jasie ki ,

shayad aapko pta hoga jitne bhi jio ke users hain sabhi se sim card lete samay 99 rupees ka recharge karwaya gya tha membership ke naam par to usme aapko bataya yeh gya tha aapko poore ek saal k liye jio ki jitni bhi application hai sabhi ka subscription free hoga one year ke liye jis application mein JIO TV,JIO CINEMA,JIO MUSIC.etc application aati hai ,

mgr ab to JIO MUSIC se badalakr JIOSAAVN ho gyi hai to humse kya koi charge liya jaayega to aap sahi soch rhe hain mgr jaisi ki JIO ki puraani aadat hain starting mein sabh kuch free mein dena  to isliye aapko JIOSAAVN ka subscription first three months ke liye diya jaa rha hain to aap is maze jarur lijiye ,



3 months ke baad aapko aapse 50 rupees tak ka charge le sakta hain agar aap jio ko 50 rupees nhi dena chhahte hain to aapko keval waha par kuch ads show hongi song sunte samay bas agar aap nhi chahte hain ki JIOSAAVN app mein koi bhi Ad show ho to aap ko 50 rupees pay karne honge ,
aur JIO MUSIC se badalkar JIOSAAVN hui hain application to UI(user interface) bilkul naya banaya gya hai jo ki aapko jarur pasand aayega,

JIOSAAVN ka apna ek naya logo hain jaha par JIO MUSIC aur JIO SAAVN dono ko show kiya gya hain ,

pehle ki trah hi aap isme SET AS JIOTUNE wale button par click krke apne jio number par caller tune lga sakte hain.

To bas yahi kuch updates the JIOSAAVN app ke jo ki appko jarur acche lage honge agar aapko acche lage ho to is post ko apne dosto ke saath share jarur kren aur aapko koi bhi problem ho is post re related to comment jarur karen.




PUBG se paisa kaise kamaye | make money via playing PUBG


Namaskar Dosto, saal 2018 mein sabse zyada khele jaane Mobile Games mein sabse pehle naam aata hain PUBG (player unknown`s battleground) bahut kam hi aise log honge. Jinhone PUBG GAME ko na khela ho aur bahut saare aise log bhi bi honge jo ki aaj bhi poora din PUBG khelte hain rhte hain to aise mein aaj aap sabhi ke liye laya ek naya post jisme mein aapko bataunga ki aap kis trah se PUBG se paisa kaise kamaye ya kama sakte hain.


PUBG se paisa kaise kamaye



PUBG se paisa kaise kamaye 





Aaj main aapko ab tak ka sabse aasan tarika batunga jisse keval aap pubg khelkar paise kma sakte hain to aapko kuch bhi nhi karna keval aapko daily ki trah PUBG khelna hain,

Jabse jio aaya hai tab se Youtube bahut daily bahut sare creators judte ja rhe hain aur isi trah se koi apne tech channel chalata koi vines banata hain kuch log tutorial banata hain.etc aise bahut saare daily channels banaye jaate hain youtube mgr aapko inme se kisi bhi tarika hain channel open karne ke nhi kh rha hoon main aapko aapko kuch unique karna hoga agar aap youtube par paise aur fame kamana chahte ho to,

pehle india mein gaming ko lekar bilkul bhi craze nhi tha mgr ab gaming ke mamlo ne india peeche nhi to aur aapne bhi bahut sare gameplay youtube par dekhe honge to unhi ki trah aapko bhi apna ek gaming channel start karna hain aur aapko apne mobile se pubg khelte samay LIVE aana hain apne youtube channel par ab aap yeh soch rhe honge ki PUBG gameplay se to bahut saare creator live krte hain,

To usi trah se aapko bhi Youtube channel create krne ke baad apne channel par live enable krna hain aur aapko Daily kam se kam 1 Hour ke liye Pubg khelte samsay live aana hain aapko, 

channel ke starting mein aap apne views laane ke liye aapne friends ya relative ko video ka link share jarur krna aur aap jitna aacha thumbnail lga sakte hoon utna accha thumnail lgana kyoki youtube par viewers title par dhyaan kam dete hain sabse zyada click thumbnail ki wajah se hi hote hain.

LIVE Gameplay Karne Ke Fayede 



yaha par main aapko kuch faayde batane wala hoon live gamepplay karne ke to sabse pehle, youtube par video viral karne ke liye sabse zyada jaruri hota hai watch-time aapki videos par jitna accha watch-time milega utna hi accha hoga aapki video ko viral krane mein  maan lijiye ki aapne koi bhi normal video upload kiya 20 min ka to usme aapko muskil se 2 min ka bhi watch-time nhi mil pata hai kyoki  aapko us waqt koi bhi nhi jaanta hai,

aur agar aap 20 min ke liye aap live aate ho usme aapko 10 min average watch-time hi jaata hai kyoki waha par aapki video koi bhi skip nhi kar sakte hain to guarantee k saath aapko watch-time jarur increase hoga aapki video viral bhi hogi,

aapke youtube channel par bahut hi jaldi 4000 hours ka watch time bhi complete ho jaayega agar aap lambi videos banoge to, jaldi watch-time complete hone par aapka monetization bhi jaldi on hoga aur video par ads bhi aane lagenge,



lambi videos hone ki wajah se aapko kam se kam 3k-4k views par 1$ mil jaaya karnenge ,
aap superchat se bhi paise kma sakte hain to aap ek try jarur karke dekha.

Agar aapko hamara yeh post pasand aaya ho to comment karke bataye ki aapko hamara yeh post kaisa lga aur share jarur kren 


Keywords Everywhere Kaise use kare? Best Keyword Research Tool


keyword everywhere kya hota hai aur keyword everywhere extension ka use kasise kren aur yeh kaise work krta hai aur is tool ko use kyu karna chahiye,etc. aise sabhi doubts aapke bhi honge to is post ko poora padhne ke baad aapke sare doubts clear ho jaayenge to post ko poora padhe accha lage to comment jarur kren.

keyword everywhere chrome mein kaise lagaye
Keywords everywhere kaise use kare

Apne apne blog ko rank karane ke liye keywords ki jarurat hoti hai aur aapko bahut sari internet par website mil jaayengi jo ki aapko aapki website ke liye keywords dundh kr deti hain , mgr aaj ke is post mein aapko batane wala hoon ek chrome extension ke baare mein jhan par aapko bahut saare keywords mil jaayenge aur aapko yaha CPC,CPM,SEARCH VOLUME .etc dekhne ke liye mil jaayengi 

KEYWORDS EVERYWHERE KA USE KAISE KREN ?

Agar aapne kabhi bhi keywords everywhere ka use nhi to kiya hai to yeh post aap sabhi ke liye bahut hi zyada helpful hone wala hai to sabse pehle yeh janana bahut hi zaruri hai blogpost likne se pehle hume keywords everywhere ka use kyu karna  chahiye ? 



keywords eveywhere ka use karne se aapko apne blogpost ko rank karane mein bahut hi zyada help karata hain aap Google adsense ke High cpc bhi mil jaati hai wo kaise , aapko neeche maine ek image di hain usme aap dekh sakte hain ki maine aapne keyword ko jaisi hi google mein search kiya hai uske neeche us keyword ke cpc aur search volume dono likha hua hai isse jab bhi aapna post likhe to pehle  aap keywords everywhere ka use kar lijiye aapko bahut hi zyada help milegi.

keywords everywhere kya hai
keywords everywhere kya hai 

agar aap search box ke neeche dekhe to aapko search volume iska matlab hai ki ek mahine mein log is keyword ko kitni baar google par seach karte hain aur uske baad cpc yani ki aapko ads ke click ke itne paise milenge 

GOOGLE CHROME MEIN KEYWORDS EVERYWHERE EXTENSION KAISE ADD KREN ?


Keywords Everywhere ek extension hain jise ek aap apne chrome , firefox bworser mein add kar sakte hain add karne ke aapko google par search karna hoga ya phir aap is link par click karke jab aapke pc ya laptop mein bhi kuch is trah ka page open hoga page open hone ke baad aapko ADD TO CHROME wale button par click karke extension ko add kar lena hain,



best free keyword research tool
chrome extension


jaise hi aap keyword everywhere  extension ka download kar lenge to apne aap ek naya tab open hoga aur usme aapko email id likh dena hoga aur email me API KEY par click kar dena hoga aapko pass turant ek email aayega ,




AGAR AAPKE PASS THODA SA TIME HO TO IS POST KO BHI PADH LENA : - 




keywords everywhere email api key
e-mail

aur pass kuch aisa email aayega aur aapko ek API KEY ko copy kar lena hain aur,

keywords everywhere email
keywords everywhere kya hai

ab aapko please click here to access your free API key par click kar dena hai 

API key
keywords everywhere api key

Ab aapko yeh API key ko copy karna hain hain aapko apne chrome browser mein sabse upar ek chhota sa keywords everywhere ka icon show hoga aur kuch aise 



keywords everywhere update settings
chrome extension

jab aap keywords eveywhere wale icon par click karoge to aapko kuch aisa ek pop up open hoga aur isme aapko update settings wale button par click kar dena hai ,

keywords everywhere API key validate
androidgyani.com


update settings ke baad aapko apne jo API key copy kiya tha usko yaha par paste dijiye paste karne ke liye CTRL+V ka use kar sakte hain API key paste karne ke liye aap validate wale button par click kar dijiye .

Ab aapke CHROME BROWSER mein keywords everywhere extension successfully add ho chuka 
aap blogpost likhne se pehle iss extension ka use karen aapko jarur fayda hoga ,

Agar aapko hamari yeh post acchi lagi to necche comment jarur kare .


Instagram Account Ko Hack Hone Se Kaise Bachaye ?


Hello Dosto, Aaj ke is post mein main aapko batane wala ho ki kis trahse aap apne Instagram account ko hack hone se kaise bacha sakte hain ? to is post ko poora padh liye ye post aapke liye bahut hi zyada helpful hoga kyoki is post ko padhne ke baad aap apne instagram,facebook,twitter aur lagbhag sabhi social media sites jo bhi aap use karte hoon unke secure rakh sakte hoon ,
aaj kal log facebok se bhi zyada instagram ka use kr rahe hai isliye sabhi ko apna instagram account save karke rakhna chahiye .

instagram account hack




Instagram Account Hack Hone Se Kaise Bachaye ?

main yaha par keval instagram account ke baare mein nhi baat kr rha ho apne sabhi social media site mein ye ko apply kro aap chahye wo aapka Gmail,facebook,twitter kuch bhi kyo na ho koi bhi use aasani se hack nhi kar sakta hain , 
neeche maine aapko kuch traike bataye jinki madad se aap social account ko secure rakh sakte hoon .


#1 Two Step Verification 

Tow step verification ye aapko har jagah mil jaayega aapke kisi bhi social media site me yeh aapko account ko dugna secure rakhta hai matlab ki agar aapko Instagram ka password agar kisi ko bhi pta chal jata hai , agar wo login karega to sabse pehle aapke mobile no. par ek OTP jaayega jab tak aap OTP nhi daloge tab tak aap Instagram account ko use nhi kar sakte ho , 
To aap Two Step Verification ko kis trah se  enable karoge .


step 1 : - Aapko sabse pehle apne instagram account ko open karna hai aap apni profile picture par click karke id ko open karna hoga aur 

Step 2 : - ab aapko settings wale button par click karna hoga aur to jab aap setting wale button par click karenge to ek popup aayega usme aapko privacy and security wale option par click kar dena hoga ,

Step 3 : - ab aapko neeche dekhne par ek Two - Factor Authentication par click kar dena hoga .

Step 4 : - last step me keval aap ko keval  Two step verification ko enable kar dena hoga aur aapko apna mobile no. daal dena hoga aapke mobile par ek OTP aayega us OTP PASSWORD ko aap us box me daal dijiye aur aur done par click kar dijiye .
aisa karne ke baad jab koi bhi aapke instagram ko open karna chahega wo ise open nhi kar paayega jab tak ki OTP PASSWORD  nhi pta hoo 

#2 Do Not Use same password 

Bahut sare log apne sabhi accouint ke password ek jaise hi rakte jo ki wo ek bahut badi galti hoti hai aap ko kabhi bhi apne kisi bhi social media account ka password ek jaisa nhi rakhna chahiye ,kyoki agar aapka kisi bhi ek account ka password ka aapke kisi bhi friend ko pta chal jayega to wo aapke sabhi account ko access kar sakta hai to aise me aapko dhayan rakhna hai hai aap apne sabhi account ka password alag alag hi rkhe to zyada better hoga .


#3 Do not use autosave password 

password ko save rakne se bhi aapka account hack ho sakta hain to aise jab bhi koi bhi social site ka aap use kren to login karte samay aap AUTOSAVE PASSWORD ka use na kyoki maan lijiye aap se aapka phone kisi bhi friend ne manga to wo us waqht kuch kar sakta hain to jab aap apne account ko use karne ke baad logout jarur kren .

#4 Use Extra Strong password 

adhiktar log password ke naam aapne apna naam,date of birth,bank account number,mobile number,etc. kuch bhi rakh lete mgr sayad aap nhi jante ki yeh sabh kuch hack kiya ja sakta hain 
to aise mein aapko ek strong passwrord use krna hoga jo ki kam se kam 12 character ka ho jisme {capital letter kam se kam ek ho aur baaki small kuch number aur special character } bhi ho kuch aise EX- Password645@ 


#5 Do not click Unwanted  links 

aapke facebook whatsapp par bahut se message aate hone is link par click karo aapko 10 rupay milenge to aap aise message se bachke rahe aapke account hack kiya ja skata kyoki jab aapko us link par click karoge to wo aapse login hone ke liye kahega jab aap login karne ke liye aapne login id aur password daloge to wo fishing hacking ke jariye aapka account ka login id aur password unke pass save ho jaayega aur aasani se aapke account ko access kar sakta hain. 

aaj ke post me post mein bas itna hi post pasand aaya ho to ise apne dosto se share jarur kren 

Google Adsense New Update November 2018 In Hindi


Swagat hai dosto aap sabhi ka hamare is blog mein aaj ke is post mein baat karne wale hai Google adsense ke aaye naye upadte ke baare mein abhi haal mein Google adsense ka ek naya update aa chuka hai aap new blogger ho to iske baaren aapko janana bahut zarori hai iske aapko bahut help milegi to chaliye jante ki Google Adsense ke is naye update mein kya kuch khaas to agar aapko hamra yeh post pasand aayega to aap is post ko friends ke saath share jarur kren .

Google adsense new update



purane update mein kya tha ?

Purane adsense mein aisa kya tha jise Google Adsense mein Update laya , pehle kya aapko keval ek domain ki jarurat hoti thi aapne Google adsense se approval ke liye aapne ek Domain buy kiya aone blogger ya wordpress blog par jaakar connect kiya aur adsense ko approval send kiya ab aapko approval mil jata tha to aap aapni kitni bhi website par apne ads ko show kra sakte the aur mgr abse aisa nhi yeh sabh kuch purane Google Adsense mein hua karta tha.


Ise bhi padh lijiye : 




Naye update mein kya hai?

Google Adsense ke naye update mein sabse pehle aapko interface mein chage dikhegea jab aapko aap home button par click karenge to aapko ek naya interface dikhega,


ab baat karte hai 2nd update ke baare mein 2nd update mein aapko har bar approval lena padega matlab ki jab aap man lijiye aap do ya do se zyada website aap chaahte hai ki main apni dono website ko apne ek hi Adsnese accocunt se connect karu to aapko ise liye alag se approval lena padega jaisa ki aap pehle kiya krte the aapke paas ek fully approve adsense account hai aur aap chahte hai main apne dusri wesbite ko bhi isi adsenese accout se connect kar lu aap pehle keval my sites wale option mein jaakar aap apni dusri website ka url add kar diya karte the aur aap aasani se apni dusri wesbite aasani se ads ko run kar sakte the mgr ab se aisa nhi agar aapko apni dusri website par bhi ads show karani hai aapko uske liye alag se approval lena hoga ,

bas yahi do naye update aaye hai Google Adsense mein agar aapko pasand aaye to ise share jarur kren .